Duration 10:11

Sonet DCT Vs Nexon AMT vs Venue iMT v/s Magnite CVT Kiger V/s Brezza Torque Convertor Urban Cruiser

5 238 watched
0
175
Published 8 Mar 2021

AMT vs CVT vs DCT vs iMT vs AT i.e. Torque Convertor in Hindi, which gearbox is better? Hyundai offer - http://bit.ly/2EwiwLg Throttle Store offer- https://bit.ly/35v1pYR Sonet vs i20 2020 | New i20 v/s Kia Sonet Hindi : /watch/AZqNCqvpXN2pN Magnite Vs Sonet 2020 Nissan मैग्नेट Kia - /watch/YDwFjd8tpYstF Thar vs Sonet BS6 2020 Hindi महिंद्रा थार v किया सोनेट facelift offroad - /watch/kpmwxF0rtTErw Introduction – 00:00 Gearbox Definition – 00:55 iMT in Sonet, Venue, i20 – 3:14 AMT in Nexon, Kiger, XUV300, Dzire, Swift, Nios, Aura – 04:01 DCT / DSG in Sonet, Venue, i20, Verna – 5:11 CVT in Kiger, Magnite, Baleno, Glanza – 6:24 Torque Converter in Brezza, Sonet-diesel, Urban Cruiser - 7:32 Throttle Store Offer - 9:04 Transcript: Namashkaar doston! CarComparos mein aap ka swagat hain, main hoon aap ka dost xyz aur aaj hum aapke saath phirse upasthit hain ek khaas tulana ke saath. Aaj hum Bharatiya market mein milne waale tamaam Automatic Gearboxes ki tulana karenge aaj-ki sab-se lokpriy shreni - yane ke sub-four-meter SUVs ka udaharan le-ke. Iss shreni mein aap ne alag-lag gaadiyon mein, alag-alag prakaar ka automatic transmission dekha hoga. Brezza, Sonet-diesel aur Urban Cruiser mein paarampaarik-torque-convertor mil raha hain, Nexon aur XUV-three-double-oh mein sasta-sa AMT milta hain, Venue aur Sonet-petrol mein semi-automatic iMT uplabdh hain aur Nissan ki Magnite mein CVT maujood hain. Lekin inmein se sab-se smooth gearbox kaunsa hain? sab-se tej gearshift kaunsa gear-box karta hain? sab-se jyada mileage kaunsa gearbox de-sakta hain aur lambi daud mein sab-se jyada tikau aur low-maintenance gearbox kaunsa rahega? In saare sawaalon ka jawaab paane ke liye, dekhte rahiye CarComparos ka ye vistrit comparison video.. Lekin, pehle jaan lein ki yeh gearbox hota kya hai? Gearbox, aapki gadi ko payyon se jodnewala ek yantra hota hai. Gear ke sahi chunnav se aap gadi ko dheemi gati, tez gati, chadh utaar ityadi par aasani se chala sakte hain. Injun ke gati aur takad ki jyo seemaen hoti hain, inko gearbox safalta se, kahiye, tod deta hai. Gearbox me alag alag gears hote hain jyo sahi samay par istemaal karne se gaadi ki gati yani speed aur takad yaani power, in donon ka sahi upayog kar sakte hain. Gati jab kam ho ya chadhaav zyada ho, ya gaadi mein bhaari samaan bhara ho, to nichla gear istemaal hota hai (jaise ke pehla aur doosra) aur jaise gati badhti hai ya raaste ke chadhaav kam hote hain tab upri gearon ka istemaal hota hain, (jaise ke teesra, chautha, paanchwa aur aaj kal kayi baar chatha bhi gear hota hain). Jag mein, aur zyada karke apne desh mein ‘manual’, yani driver se chalayi hui gearboxes payi jati hain. Inke mukhya phaydon mein sabse zyada phayda hota hai to who hai average ka. Inka maintenance bhi kuch anya gearboxed se kam hota hai aur yeh sabse mazboot mani jati hai. Lekin yeh tha waqt jab traffic kam hua karta tha, rahon par gaddiyan bhi kam thi aur log gaddi se zyada traivel bhi nahin karte thay. Jaise traffic badhte gaya waise gaadi chalana mushkil hote gaya. Bar bar clutch dabao, gear badlo wala kaam dard-dayak hone laga. Yeh clutch dabao, gear badlo ki prakriya gadi chalane wale ko thakaane lagi, zyada karke shahar, matlab city driving mein. Arre yeh gaadi gear badle bina kyun nahi chal sakti!!?? Haan, yeh bhi mumkin hai bhai!! Atomatic gearboxein yahi toh kaam karti hai! Aap bas accelerator ka chamcha dabaao aur rukna ho to brake ko dabaao. Sabkuch itna asaan bhi ho sakta hai! Automatic gearbox waali gadiyon mein clutch ka pedal hota hi nahin hain. Jab aapko gadi mein zyada takad yani power chahiye, ya phir aur tezi yani speed chahiye to bus accelerator ko dabaiye aur jab gati dheemi karni ho ya gaadi rokni ho toh accelerator ka pair hatakar brake wala pedal daba deejiye. Chaliye, ab jaante hain ki yeh sab kuch mumkin kaise hota hain! Atomatic gearbox kitne prakaar ki hoti hain aur apne desh mein kaun kaun si gadi mein kaun si atomatic gearbox ka istemaal hota hain. Aur bhi, inke phayde kya hote hain aur kamiyan bhi kya hoti hain. Apne desh main atomatic gearbox mein ke zyada karke paanch prakaar istemaal hote hain. Sabse aasaan aur sasta hota hain iMT: Isko ato clutch kehte hain ya phir ise kuch log semi atomatic yaani aadha atomatic bhi kehte hai. Iski gearox toh manual hoti hai par clutch atomatic hota hai. Isme clutch pedal nahin hota. Jaise hi aap gear ki dandi ho haath lagao, clutch chal jaata hain. Aapko bas kaunsa gear chahiye usmein gadi ko daalna hota hai, yani gear ke dande ko us gear ke number ki jagah par dhakelna hota hain. Bus, clutch apnea ap dabta hain, aur gear chuna jaane ke baad apnea ap choot bhi jaata hain. Gaadi ko rokna ho toh sirf brake ko dabaana hota hai. Ismein bus pareshani thodisi itni ki gaadi mein baithe logon ko gear ke badalte waqt halka sa dhakka mehsoos hota hain. Yeh ab paayi jaati hain Hyundai ki.. aage padhne ke liye iss link pe click kijiye - https://www.carcomparos.com/2021/03/kia-sonet-dct-vs-nexon-amt-venue-imt.html

Category

Show more

Comments - 38